Monday 1 April 2019

Dil ki baat


Teri zarurat bhi hai
                        Aur aadat bhi
Teri bahon mein jannat bhi hai
                        Dil mein mohobbat bhi
Teri hothon pe muskurahat bhi hai
                        Aankhon mein shararat bhi
Toh phir na poochna ke kyun
Ek pal ki doorie tumse, kabhi Qayamat lagti hai
                         Aur kabhi Ghutan bhi

Aisa kyun hota hai


Aisa kyun hota hai...

Jab har sahi, galat lagta hai
Jab khushi ki rah par udasi milti hai
Jab apno ka saath bhi adhura lagta hai
Jab hakeekat bhi sapna lagta hai

Na jane aisa kyun hota hai...

Jab har milan bhi adhuri lagti hai
Jab nazdikiyaan bhi doori lagti hai
Jab dil khushi mehsus nahi hoti hai
Jab har muskurahat bhi jhooti lagti hai

Na jane aisa kyun hota hai...

Jab milne ki chah mein kuch chootne ka darr lagta hai
Jab sab paa kar bhi khone ka darr lagta hai

Dil ko jitna bhi samjhaalu, phir bhi yahi poochta hai
Ki aisa kyun hota hai....

Sunday 31 March 2019

Dedicated to Sachin

I wrote this song few months before our wedding. #LatePost


  • Yun hi baite baite mujhe khayal aaya
  • Ki tumhe maine kaise paya..
  • Alag the hum aur alag thi hamari duniya 
  • Kaise humne taiy kiya banani APNI duniya..

  • Tum aaye ho ek naya savera banke
  • Meri berang zindagi me naye rang banke 
  • Suna tha ki Sapna bhi sach hote hai
  • Tum ko paakar, uspar yakeen hua hai 

  • Socha na tha ki kabhi aisa hoga,
  • Ek ajnabee dil ke itne kareeb hoga..
  • Ab aisi Lagan lagi hai tumse,
  • Ek pal ki bhi doori  Saha na jaye hamse 

  • Pyaar tumse iss kadar karte hai
  • Ki har pal bus tum pe hi marte hai
  • Yeh Wada karte hai tumse
  • Chahenge tumko hamesha abse 

  • Tumko hamesha yuhi chahenge 
  • Tumhari har khwaish ko pura karenge 
  • Dil kabhi na hum todenge 
  • Yeh Saath kabhi na hum chodenge..

Thursday 22 September 2011

Dedicated to Sonam..

Hai ek pagli ladki,
hai ek deewani ladki,
Sab se hai alag bahut,
aisi ek albeli ladki.

Pyari si hai muskaan uski,
dil lubhaye aisi hasi uski.
Aankhon me hai shararat uski,
har ada hai matwali uski.

Batein uski hai non stop,
koi laga nahi sakta uspe full stop.
Dikti hai jaise super model,
karde wo sabko ghayal.

Dikhne me hai jitni bholi,
utni hi hai chalu badi.
Gharwalon ki hai wo ladli,
doston ko bhi hai pyaari badi.

Ladti rehti hai wo mujhse,
magar hoti na naraaz wo mujhse.
Mere har mushkil me saath nibhati,
Jab bhi chahu saath wo rehti.

Shaitan bhi hai,
masum bhi hai,
Pagal bhi hai,
samajhdar bhi hai.
aisi hi hai ye meri pyaari natkat saheli.

Tuesday 16 August 2011

My Little Friend

There was a grey mouse,
Who came into our house.
It ran into a hole,
Which was its main goal.

I was playing with my ball,
It suddenly came in the hall.
I saw it and screamed,
I thought it was my dream

It ran into the kitchen,
I tried to stop its mission.
It ate all the food,
And ran back in mood good.

We all made it to run,
But it made, it a fun.
It broke the things of our house,
Then we said:"Let it go, tht little mouse".

Somedays later it was sad,
I said this to my dad.
He told me, it needs a friend,
And I made it my best friend.
I kept its name as Kelly,
And lived with it happily:):)

[This poem was written by me on Jan 13th 2003 during my school days]

Dedicated to Sushila


Phoolon se bhi hai komal,
Phir bhi thodi si chanchal,
Maan me koi mail nahi,
Hai aisi sadgun sampan.

Muskaan hai uski badi pyaari,
Aankhen hai uski badi nirali,
Baton me apne sabko fasale,
Aisi hai yeh manchali.

Meethi si hai uski boli,
Masti ki hai yeh tokri,
Har koi use pyaar hai karta,
Par who hai kisi aur ki Pari.

Har mushkil me saath nibhati,
Har galti pe mujhko samjhati,
Rut thin a mujhse kabhi,
Dosti ka har farz nibhati,

Hoshiyaar bhi hai,Chalak bhi hai,
Natkat bhi hai,Pyaari bhi hai,
Pagal bhi hai, Bholi bhi hai,
Jaise bhi hai, meri sabse achi dost hai yeh JJ

Dedicated to Darpan


Hai iska naam Darpan,
Karta sabke jeevan ko roshan,
Jahan jata khushiyan lutata,
Pal me sabka dil me samata.

Har pal badi sharat karta,
Chidata, satata, bahut rulata,
Par phir bhi nahi naraaz koi,
Kyun ki chutki me who sabko manata(or hasata)

Dance me Michael Jackson hai yeh,
Baaton me sabka baap hai yeh,
Har koi chahe us jaisa banana,
 Aisa lajawab cheez hai yeh,

Samajhdar bhi hai, Shaitan bhi hai,
Bhola bhi hai, Natkat bhi hai,
Jhoota bhi hai, Saccha bhi hai,
Jo bhi hai, mujhe pasand hai yeh,
Kyunki mera pyaara DOST hai yeh!!