Monday 1 April 2019

Aisa kyun hota hai


Aisa kyun hota hai...

Jab har sahi, galat lagta hai
Jab khushi ki rah par udasi milti hai
Jab apno ka saath bhi adhura lagta hai
Jab hakeekat bhi sapna lagta hai

Na jane aisa kyun hota hai...

Jab har milan bhi adhuri lagti hai
Jab nazdikiyaan bhi doori lagti hai
Jab dil khushi mehsus nahi hoti hai
Jab har muskurahat bhi jhooti lagti hai

Na jane aisa kyun hota hai...

Jab milne ki chah mein kuch chootne ka darr lagta hai
Jab sab paa kar bhi khone ka darr lagta hai

Dil ko jitna bhi samjhaalu, phir bhi yahi poochta hai
Ki aisa kyun hota hai....

No comments:

Post a Comment