Tuesday 16 August 2011

Broken Heart

Janeman o mere janeman,
Kaisi hai majburi sanam,
Chahu tumhe, par na pau tumhe,
Kyu sanam, kyu sanam......

Khamoshi ye meri,
Keh rahi thi tumhe,
Baate mere is dil ki
Tumne samjha kabhi,

Sach hai ke maine kuch na kaha,
Thi yeh meri choti khata,
Mujhko mili kyu aisi saza,
Chahu tumhe, par na pau tumhe,
Kyun sanam, kyu sanam....

Har pal socha tumhe,
Har pal pooja tumhe,
Tum bin aur kuch na
Humne na manga kabhi,

Maine pyaar kiya, inkaar kiya,
Par tumne toh vaar kiya,
Is dil ko dushvaar kiya,
Chaha tumhe par na pau tumhe,
Kyu sanam, Kyu sanam....

Janeman o mere janeman...............

2 comments: