Tuesday 16 August 2011

Ek deewana


Hai aisa ek deewana,
Jise kisi ne na jana,
Hai usme kabiliyat badi,
Par kisi ne na usko pehchana.

Masoom sa hai dil uska,
Masti karna shauk hai jiska,
Sab ko apna samajhta woh,
Jis se bhi batiyaye, woh ho jaye uska.

Itna pyaara, itna sundar,
Karta har mushkil ko chumantar,
Jahan  jata khushiyan failata,
Sabke dil pe woh chah jata,

Nashili hai aankhen uski,
Baaton me hai jadoo uski,
Dil par raaj karta who mere,
Kya kahu, bas deewani hu uski.

Na jane kab pyaar hua,
Kab kaise ikraar hua,
Dil per raha na mere kabu,
Bas uske dil naam hua.

Uski har ada par pyaar aaye,
Uski har wafa par naaz aaye,
Aisa hai woh mera Shehzada,
Jiski har nazar par dil mit jaye,

Bhola bhi hai, Natkat bhi hai,
Massom bhi hai, Shaitan bhi hai,
Pyaara bhi hai, Samajhdar bhi hai,
Jo bhi hai, Meri jaan hai yeh.!! :* :* 

2 comments: